Ladka: Kaash in hasinaaon kay baap mar jayen'
Bahana ho afsos ka hum inke ghar to jayen
Ladki: Aisa sochna bhi aye zalim paap hoga
Kabhi tu bhi kisi hasina ka baap hoga
Kutta ban gaya hoon tere pyaar main
yakeen nahin aata to suno...Bhow..bhow
Aaj Tu Kali Hai, Kal Gulab Hoga
Mujh Se Shadi Kar Le, Bara Sawaab Hoga
Ladki: Chandni chand se hoti hai, sitaron se nahi
Mohabaat ek se hoti hai, hazaron se nahi
Ladka: Chandni chand se hogi to sitaron ka kya hoga
Mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hog
Maine tujhe pyar kiya, saraswati samajh kar
Tere baap ne mujhe pita, agarbattti samajh kar
Milna hai to mil
isee duniya ke chaman main
Phir kya milna hoga,
Jab laaash hogi kaphan main
Maine tujhe dekha,
handle badal badal kar
Tere baap ne mujhe peeta,
sandle badal badal kar
Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai
Kuch is tarah se Haseenon ka pyaar dekha hai
Unhe khilane pilaane main hui hai yeh haalat
Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai
----------------------------------------
Gul gaya, Gulshan gaya, Gaye honthon ki laaali
Ab to peeecha chor de, main ho gaye bachchon waali
Kamaata nahin hun itni ke tujhe roze khilaoon
Aaati hai to aaa ja, ya kisi aur ko pataooon
Chandni raat thi, main so rahi thi
Phir kisi ne darwaza khutkhataya
Maine soncha mera dil aaya
Darwaza khol ker dekha to bijli ka bill aaaya
Katchi Kali Katchnar Ki, Katcha Na Samjhna
Lar Jaoonga Tere Baap Se Batcha Na Samajhna
Angoothi Chanak Gaye, Nageena Nikal Gaya
Afsos Tera Baap, Kameena Nikal Gaya
Maana Ke Main Pura Musalman To Nahi
Par Apne Deen Se Nata To Jor Sakta Hoon
Nemaz Roza Kuch Na Sahi
Shab-E-Barat Patakhe To Chor Sakta Hoon
Dil Logi, Kay Jaan Logi
Meri Jaan Set Hone main Kitna Time Logi
Industrian sari mere yaar kha gaye
Meri Sari jaydaaad rishtedar kha gaye
Marne Ke baad bhi unho ne ki meri saath cheating
banaye mazar to minaar kha gaye
Use karte hein make-up ka daba roze kiyun?
Ban sanwar kar nikalte hain chailaa roze kiyun?
Mummy tum to kehti thee Eid to kab kee gaye
Phir Parosan se gale miltay hain Papa roze kiyun?
Yeh zulfain hain tumhari, ya resham ke jaal,
Kitne khush-naseeb hain vo choohe
Jin hon ne kutre tere baaal
No comments:
Post a Comment