Sunday, July 22, 2007

Mix Shayaris 7

Khwahish-E-Dil
Rahul Jain




Teri ek hasi pe ye dil qurbaan kar jau,
Aitraaz na ho agar to tera dil chura le jau,
Na behne du kabhi in aakho se aansu,
Tu kahe to tere saare sitam she jau.

Hasta hua rakhu tere labo ko hamesha,
Chumkar jinhe who pyaari muskaan de jau,
Seene se laga ke rakhu tumhe,
mann to karta hai tujhme sama jau.

sunta hi rahu tumhari dhadkano ko,
aur apne dil ki har baat keh jau,
ghum ko kabhi kareeb na aane du,
aur tumhe zindage ki khushiya tamaam de jau


Chahat Hai
Rahul Jain



Har pal tujhe khwabo me dekha,
Ab haqeeqat me pane ki chahat hai.
Paas aakar tumhari,
Kuch lamhe churaane ki chahat hai.

Laga ke apne seene se tumhe,
Yeh zindagi jeene ki chahat hai.
Lekar tumhe apni bahoon me,
Yeh jahan badalne ki chahat hai.

Na jaane kitne aansu bahe tere intezaar me,
Par ab tere sang muskuraane ki chahat hai.
Apni har ek khushi tere naam kar,
Tere saare ghum apnane ki chahat hai.

Chup-chup ke tujhe dekha to bahut maine,
Ab teri nazro se nazar milane ki chahat hai.
Tum to bas chuke ho is dil me,
Par ab tere dil me dhadakne ki chahat hai.

Mitakar fasle sabhi,
Dil se dil milane ki chahat hai.
Bahut kuch keh gaya yeh dil mera,
Bus ab kuch tumse sunne ki chahat hai.


Khoda mujhko kis baat ki mili ye saza ha
Safia Khan




khoda mujhko kis baat ki mili ye saza hai
mujhe khood pata nahi ke meri kaya khta hai

kis se kaho bhala gham apni bebasi ka
aanso bhi poche ke kaya maajraa hai

achcha banya hame hi kiu tune etna
ke achayi se uthya sabhi ne faida hai

aanso mere ye aye aasman tujh se poche
achchon ka kiu hota bura hai?

kis ka yaqeen ham kare bhala ab
apno se bhi jo mila hai wo dhoka hi dhoka hai

mujhe aazmaiga kab tak bhla tu
mere gham ki bata de kaya koi dawa hai

mera gonah bas mujhko bata de
fir de dena jo tujhko deni saza hai

malik hai maola hai bas tu hi eak aasra hai
tujhe tu mere allah her baat ka pata hai

jo bhi mujhko milty hai gham es jahan se
use sahene ka saber bhi tujhi se mila hai

meri her mushkil jab jab kisi ne badhyi
sahara mujhe bas teri qudrat ka mila hai

Elzaam mujhko jisne bhi diya hai
use taofiq dene wala tu hi khoda hai

khoda mujhko kis baat ki mili ye saza hai
mujhe khood pata nahi ke meri kaya khta hai

By_Safia Khan_Takhallos_Kanwal

No comments: