Sunday, July 22, 2007

Mix Shayaris 6

Khud par naaz ...
Fahim Solkar




meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna
dard ki nayii daastan ka aagaaz nahi karna...

apni bebassi ko khud hii byaan karega ye
chehre ko kisi aaine ka mohthaaz nahi karna...

raaz Jo khud se hii na chhipaa paao tum
aise raaz mein kisi ko hamraaz nahi karna...

namumkin hai haqikat ke aasman mein urnaa
khaabon ke sahare isme parwaaz nahi karna...

zakham phir zakham hai.N ik roz bhar jaynge
husan wallon ko inke charasaaz nahi karna...

khaakh se bane ho khaakh mein mil jaaoge
kabhi bhoole se bhi khud pe naaz nahi karna...


Dil ko hasata phir raha hoon...
Kcalpesh B Ajugia




Nazar tumse mili thi jab se,
Bas tum mein khoya huva hoon~
Khwaab tumharay aatay rahein,
Yeh soch ker soya huva hoon~
Hai badnaseeb meri zindagi,
Jis pal se tum nahi mili~
Yeh Ashq mere ruktay hi nahi,
Main pal-pal ko rota raha hoon~
Yun na mujhay rulaa kabhi,
Ghumon ki koi, kami nahi~
Meri khushiyan hai teri aankhon mein,
Mujhse bhi nazar mila kabhi~
Jo baatein mere dil hai bani,
unhein, chhupata phir raha hoon~
Phir bhi teri ummeed mein,
Din bitaata phir raha hoon~
Teri yaad mein roye dil ko,
Bas hasata phir raha hoon~


Gunaah
Kcalpesh B Ajugia




Gunah kiya na kiya, saza toh mainein paayi hai!
Mujh nasamajh ko ab, thodi si samajh aayi hai!
Kuchh baatein pehchani si thi, kuchh logon ne sikhayi hai!
Saza kaat chuka hun, phir bhi, zindagi mein tanhayee hai!
Laakh pachhtava ker loon ab, lekin, yeh sachhayee hai!
Kisi gunahgaar se bhi kabhi, kisine kya dosti nibhayi hai?
Dil toh badal sakta hai, khayaal paak ho sakte bhi!
Anjaan gunah se rangay hue, yeh haath, nahi dhul sakte kabhi~


Eik TaRa..
Meer




raat ki tarike per beshumar tare chamak rahe the...dekhte he dekhte
aik tara toat kar bikherne laga...to mein ne is se pocha...tum tu apne
sathio ke saath khush khush the...phir kyun tum is tarah roth kar jarahe ho ?

Isne kaha..."Aik pagal si larki ne taroo ko dekh kar dua mangi...ke agar
koi tara abhi ise waqt toat jata hai tu...meri dua pori hojaye gi...ise
waqt meri Mohabbat mujhe mil jaye gi".

Tare ne kaha..."Maine dekha jab koi tara na tota tu woh rone lage...iske
ansoo main dekh na saka...aur main sathio se juda hoker...sub rishte tor
kar toat gaya...maine Mohabbat karne walo ke liye qurbani de hai".
Article By Meer


Mushkilien
Rahul Jain




Mushkil hai ab in labo ka kabhi muskura paana,
Mushkil hai ab is dil ka kisi ke liye dhadak paana,
Chalakte hai sirf aansu in aakhon se ab to,
Mushkil hai inme kisi ke liye sapne sajaana.

Guzri thi meri umar jin suhani raaho me kabhi,
Mushkil hai ab unhi raaho me kisi ka intezaar karna,
Kabhi pee jaate the unke aakho ka namkeen paani,
Par mushkil hai ab in aashuo se apni pyaas bujhana.

Kabhi diya tha unka saath din ke andhere me bhi,
Par mushkil hai ab ye tanha raat ka guzarna,
Har saans har dhadkan chahte the unhe,
Par mushkil hai ab fir unhise pyaar kar paana.


Berukhi
Safia Khan




apni kami pe rone lage teri berokhi se
zinda bhala thy kab ham phir roye kiu zindaghi se

milti thi teri hasrat aaj hame baar baar
khty thy jaa tu door ab bezaar hai wo hami se

paas jane ke wasty aaye thy door ka safer kaat ke
milne se hi phele paighaam mila unhe milna nahi kisi se

zindaghi teri haqeeqat ka dard hai kitna kadwa
bhaagna chaahe pfir bhi na bhaag sake ham es bebasi se

Ayina bhi hamko phechaan na saka kawanl
choop gaaye thy ab ham tu khod hi se

BY Safia Khan_takhallos Kanwal


Kabhii Tum Nahin Kabhi Hum Nahin
Meer




Kabhi "TUM" Nahin, Kabhi "HUM" Nahin
Pyaar ke liyey Chaar pal kum nahin thay
Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay
Pyaar ke haseen kab yeh mausm nahin thay...
Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay
Yeh Din barson ke baad aaya...
Kuch tumhein , Kuch humein yaad aaya
Kasak phir yeh Dil mein uthi hai
honton pe baat aa ke ruki hai
Kabhi itney"Majboor" tou Hum nahin thay
Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay
Agar Tum yeh Dil maang letey
jaan-e-mun, hum tumhein jaan detey
Tumhein kaisey Hum bhool jaatey
mur ke bhi hum tumhein yaad aatey
Tumhein hai pata, "Be-wafa" hum nahin thay
Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay

No comments: