Sunday, July 22, 2007

Article By Meer

Akela kyu hu???
Rahul Jain




Akela kyu hu???

Kyu koi mere paas aana nahi chahta,
Kyu koi mujhse dil lagana nahi chahta,
Karta to hu pyar me har shaks se,
Kyu mujhe woh pyar koi lautana nahi chahta.

Thak sa gaya hu me akele chalte chalte,
Kyu in raho me koi mera saath dena nahi chahta,
Seh raha hu akele hi is dardko,
Kyu mera humdard ko banana nahi chahta.

Dekha na gaya kisi apne ka ghum mujhse
Kyu mera ghum koi apnana nahi chahta,,
Har ruthe yaar ko manaya maine,
Par kyu koi mujhe manana nahi chahta.

Kya kami thi mere pyar me,
Kyu mujhe koi ye batana nahi chahta,
Kya galat thi meri bandage?
Kyu koi dosti nibhana nahi chahta.

Jo the apne who bhi chodd ke chal diye,
Ab ye dil kisi ko apna banana nahi chahta,
Rok de meri saanse aye mere khuda,
Ab ye dil bhi akele dhadakna nahi chahta..


Ab Laot Aao
Meer




Ab Laot Aao
Key Aik Bar Phir Mera Dil
Apni dharkno pe Beqaboo Hone Ka Khell
Dekhna Chahta Ho
Ab Laut Aao
Kay Aik Bar Phir Meri Palkien
Tumhari Nazroon Sey Ghabra Kar
Jhukna Chahti Hain
Ab Laut Aao
Key Aik Bar Phir Meray Qadam
Tumharey Qadmon Kay Saath
Unhe Rastoon Par Chalna Chahtey Hain
Ab Laut Aao
Key Aik Bar Phir Mera Wajood
Tumharey Ishq Ki Aag Main
Jalna Chahta Hai
Ab Laut Aao
Key Aik Bar Phir Meri Zindagi
Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker
Khud Ko Jeena Chahti Hai...!!!

Article By ..Meer


Dosti kya hai
Kya khabar tum ko dosti kya hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ek heera bhi hai
Dosti ek haseen khwab bhi hai
Pass se dekho to sarab bhi hai
Dukh milne pe yeh azaab bhi hai
Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon to maya jaal bhi hai
Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jai to kassak bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kya hai wafa bhi dosti hai
Dil se nikli Dua bhi dosti hai
Bas itna samajh lo tum
Pyaar ki inteha bhi dosti hai

Article By ..Meer


Socha Na Tha
Meer




Yeh na socha tha ki phir tanha honge hum,
par tere aane key baad phir tanha ho gaya...

Pyar ka jo humney gharonda sajaya tha,
sajatey hi lagta hai, jaisey bikhar gaya..
do lafz teri jubaa sey pyaar key,
sona hue lagta hai, Zamana guzar gaya..

Puchha phool sey kyon murjha gaye ho tum,
bola dekho pyaar ka mausam badal gaya..
jise dekh kar khilti thi aankhon ki kaliyan,
roz dhoondhte hai usey, ke kidhar gai...

Article By Meer

No comments: