Maine pyaar kyun kiya???
Rahul Jain
Main kyu pyar kar baitha
Apna dil kaise haar baitha
Fakat dard milta hai pyaar me
Ye jaan ke bhi kaise anjaan ban baitha
Pagal sa ho gaya tha main
Jo ek anjaan ke liye apno ko kho baitha
Uska diya har sapna fareeb tha
Un sapno ko haqeeqat kaise maan baitha
Zindagi ka har lamha khushiyo se roshan tha
Kaise apne hi aasuon se ye chirag buja baitha
Dhoka hi tha Shayad ye nazroon ka
Jo ek pathar dil se dil laga baitha
Humse kaho...
Rahul Jain
Humse kaho...
Na satao hume tum,
na khafa tum raho,
hui ho khata agar,
to humse kaho...
na behna fo aansu,
na koi dard saho,
jo sataye koi ghum,
to humse kaho...
is mehfil me tum,
yun na ishare karo,
jo kehna ho agar kuch,
to humse kaho...
hai dua yehi khuda se,
ke tum sada salamat raho,
humare hi ho tum,
aur bas humare hi raho...
Umeed
Meer
Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai
Har cheez miley humain yeh zaroori to nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai
Jo khud ko khostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai
Har aik ko barsar-e-ilzam kyun thehraye Hum
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai
Hum apni zindagi se kyun haar jayein
Gar doobta hai sooraj to kal bhi ujala hota hai
Article By Meer
Ummeed aur Zindagi!
Kcalpesh B Ajugia
Likh ker kehta raha tha ab tak..
Na padhi tunay meri dastaan..
Alfazon ko ab awaaz de doonga...
Phir chahay chhaanv milay
Ya mil jaye khula aasmaan...
Ummeed toh yahi reh jayegi...
Mere jazbaaton ko, tu jo samajh payegi...
Gar jhootha bhi pyaar mujhse jataegi...
Meri ummeed ko ek nayi zindagi mil jayegi.
No comments:
Post a Comment