Lamhaa!
Kcalpesh B Ajugia
Har Lamha Jeetay hai,
Jab saath hotay hai tumharay,
Har Lamha khoya sa lagta hai,
Jab tum saath nahi hamaray,
Har Lamha yeh chahay hum,
Tum raho bas pass humaray,
Har Lamha, Teri kasam,
Gar, Milta rahay, Tera pyaar sanam,
Har Lamha phir aye Jaan'e'Mann,
Ker denge, tere hi naam hum!
Haal - E- Dil!
Kcalpesh B Ajugia
Ek sawaal zehen mein, Har waqt rehta hai,
Kaisay kahun usay, Mujhay jo dost kehta hai,
Tu hai mere liye, Ek dost se bhi ziada,
Har dum dosti nibhanay ka, hai mera irada,
Kuchh baat hai mere dil mein, Per lafzon ki kami hai,
Aankhon mein parh ke dekh le, Ek shararat si bani hai...
Koi darr sa bana hai dil mein, Nahi saath yeh zubaan...
Kho na doon yeh dosti, Ker ke haal'e'dil bayan...
Apne aur Gair...
Kcalpesh B Ajugia
Aaap, anjaan se banay rahtay hain,
Meri deewangi, samajh sakte nahi,
Gair bhi aankhein padh lete hai,
Kyon aap hi, padh sakte nahi???
Kuchh baatein, Kuchh shararatein,
Kuchh shikwein hai, kuchh shikayatein bhi,
Gair bhi inhein samajh lete hai ab,
Kyon aap hi Samajh sakte nahin???
Chahnay ki khataaa
Kcalpesh B Ajugia
Jo humay hai pasand,
woh kerte hai pasand kisi aur ko,
Un per hai hamari nazar,
woh dekhte hai kisi aur ko,
Dil lagaya hi thaa unse,
aur toot bhi gaya,
Humay pata na chala,
kyon khuda rooth hi gaya,
Ab soch-soch ker yeh baat,
Dil jalta rehta hai,
Phir bhi unhi ko chahne ki khataa,
yeh dil kerta rehta hai
Dard-e-Dil
Kcalpesh B Ajugia
Pyaar maanga hai toh, Pyaar hi dena,
Humdardi ke liye Dost kaeeen hai,
Izhar jab karu, toh ikraar dena,
Berukhi ke liye Dushman bhi kaeen hai,
Har roz Khuda se kaeen duaaen ki hai,
Har duaa mein tujhay maangne ki khataaen ki hai,
Kuchh lafz tujhay mil jaye, kuch khuda hummein de dein,
Kambakht, mere Dard 'e' Dil, ki bas dawa yahi hai!
No comments:
Post a Comment