Tasveer
Meer
Benoor, Berang, Adhoori si,
Yeh kaisi khwaish hai.
Dil mey chayyii bekaraari si,
Yeh kaisi khwaish hai.
Khamosh, Gumsum, Udaas si,
Yeh kaisi shaam aayi hai.
Badle hue khayaalat hai magar,
Phir wohi tanhaai hai.
Aawaara, banjaara, anjaana sa,
Yeh safar bhi saudaii hai,
Dil dein hum ya Jaan de dein,
Har haal mey ruswaaii hai.
Article By Meer
Tasveer
Meer
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,
har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,
ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.
Article By Meer
Parii
ReemaRoshan
ek pari jisko khuda ny behja,
is jahan ki nahin the who.
shekaytien hoty hoy bhe
koi shekayat na karte the who.
khuda sy piyar karte the,
us sy dor jany sy darte te wo.
loog jub karty thy galt battien us sy,
chup kar khuda ky pass rote the wo.
the usky dil main subky liye jaga,
subko apny dil main rakhtee thee wo.
dard milta usko jub koi rota,
sub ky liye dua mangte the woo
kiya hoa us pari ka?
ku hai ajj itni udas wo?
ku mangte hai khuda sy hoshiyaree?
ku ky bohat masoom hai wo
jaldee sy aoo, jaldee sy aooo
koi is pari ko samjhaoo
ajj bhe khuda ky her faisly per ser jukhati hai wo
shayd yeh pari appky liye kuch nahin
per kisi ky liye bohat kuch hai wo.ai
Meri Bad Nasibi
Ata ur rehman
*Mughey Dar Hai Koi Sapney Na Churaley Mare !
Hazaroun Or Bhi Hai Chahney Waley Tere !!
**Pata nahi wo koun khush nasib hai jesney hamse hamara sab kuchh chhin liya, 3 saal ka pyaar serf ek hi roz mai, hamney to yeh soch kar sabbr kar liya ke Shayad ham mey koi kami hogi ! tum hamesha khush raho,Aabad raho, Bas yahi Khuda se duaa hai! ab sab kuchh lut gaya chhin gaya zendagi ka chain or qaraar, Humko zenda to rehna hi padega aakherat ke leye duneyaa ke leye jaisi ke ek lhash..? humko yeh sab lekhney ka koi haq to nahi pher bhi aankho se aansun ruk na sake, majboor kiya kuchh lekhney ko hum majboor ho kar lekh rahe hai Maanf karna hamari ghlteyoun ko, Maanf karna pls.. ! Bas yahi dar hai mughey or elteja hai aapse ke tum kuchh paakar Sab kuchh bhool na jaana''
Kuchh lekhey bager raha nahi gaya Agar kuchh ghalat lekha hai to pls.mughey maanf kar dena, mai kaise... kya karoon.
Tumko meri kami mehsoos ho ya na ho, Lekin mughey ..Har Qadam Par aapki hi Aahat Tasveer Bankar Mughey Rulayegi, tarsaayegi,kuchh lamhey aise bhi they jenhey mai lekh nahi sakti Dill ke har Goushey mai aap hi they Serf (aap)tumhari kami hamesha rahegi Zyada kuchh nahi.. Ungleyaan Kaanp Rahi Hai ab nahi kuchh or hamesha rahegi.hoti rahegi.
*** Mehsoos Har Lamha *** Ahsaas Har Waqt !
*Mohabbat ki kahani mai,Sada yahi huaa hoga
Khushi,Sapney,Tadap,Aansoo,ghamoun ka selsela hoga
Kesi ka dill jala hoga, Kesi ka ghar basa hoga
Tumhey shayad kabhi, es baat ka ehsaas bhi hoga
Ke mar mar kar yahan bhi koi jeya hoga
Sadeyoun se bhataktey hai tumharey wastey dekho
Tumhara naam Khuda ne hamarey dill par lekh deya hoga
Nahi koi kami hummey,Zara sa fark yeh hoga
Hamarey ghar andhera hai ?
Wahan chragh jala hoga !!!
*aakher mai unkey kuchh mukhtasar liney
*Tumsey Achha koi lagta hi nahi !
Humsey Achha shayad tumney talaash kar leya!!
Hamesha tum mere es dill mai !
Yours...
No comments:
Post a Comment