Sunday, July 22, 2007

Mix Shayaris 2

Haal-e-Dil
Kcalpesh B Ajugia




Ek sawaal zehen mein, Har waqt rehta hai,
Kaisay kahun usay, Mujhay jo dost kehta hai,
Tu hai mere liye, Ek dost se bhi ziada,
Har dum dosti nibhanay ka, hai mera irada,
Kuchh baat hai mere dil mein, Per lafzon ki kami hai,
Aankhon mein parh ke dekh le, Ek shararat si bani hai...
Koi darr sa bana hai dil mein, Nahi saath yeh zubaan...
Kho na doon yeh dosti, Ker ke haal'e'dil bayan...


Nayi Zindagi!
Kcalpesh B Ajugia




Likh ker kehta raha tha ab tak..
Na padhi tunay meri dastaan..
Alfazon ko ab awaaz de doonga...
Phir chahay chhaanv milay
Ya mil jaye khula aasmaan...
Ummeed toh yahi reh jayegi...
Mere jazbaaton ko, tu jo samajh payegi...
Gar jhootha bhi pyaar mujhse jataegi...
Meri ummeed ko ek nayi zindagi mil jayegi...


Love
Anjali S




Na thi jise hamare
pyar ki Qadar...
Na jaane kyu usi ko
chah rahe the...
Usi Diye ne Jaalaya
hamare hatho Ko...
Jise Ham Hawa Se
bacha rahe the...


Phir ek baar
Meer




Mujhko phir ek baar apni panahon mein le lo,
phir ek baar mujhko aanchal me chhupa lo.
Main tumhara ho,
mujhse phir ye keh do,
Ke Tumhare bin jag mera suna suna hai,
tumhare man ko chukar, phir tumhari anna
mein mujhko utarna hai.
Tumhari yaadein,tumhari baatein,
Aaj bhi jab sochta ho tumko,
mehfuz paata ho khudko, apne pyaar ki woh chao phir mujhko de do.
Dil mera kahin lagta nahi, koi manzar ab acha lagta nahi,
main beta_yon bhi toh kaise beta_yon kabhi na khatam hone
wala jeevan ye,
kampte hue in haatho ko mere, phir apne
haathon me le lo.
Jab tum the saath to aasan tha sab,
woh rothne manane ke lamhe phir ek baar bakhsh do mujhko. Jin par tum
saath chale the mere, kitne hi mushkil
kyon na hue ho, fakat un raaston par mere kadam,
ladh_khadh_aaye nahi the, ,meri dag_mag raho se phir apni
rahein mila do. phir ek baar mujhko apne sene se laga lo.
Phir mujhko in aankhon mein sajalo, mere nakhare aao phir
uthalo, Apne dil ke us khaas kaune mein jaana, mujhko phir
se basalo. Mujhko phir ek baar apni panahon mein le lo...
Main tumhara ho mujhse - yeh AAKHIRI baar hi keh do..

Article By Meer
Khamosh Dil KA Ehsas


Sang-e-dil duniya
Taniya 1
View Reader Comments (1)



"Dard ka BAAZAAR HAI Duniya!
Sang-Dil yaar hai Duniya" !!

"Chalte ko giraati hai Duniya!
Hanste ko Rulaati hai Duniya "!!

"Her raah per Rang badalti hai Duniya !
Her rang ko badrang banaati hai Duniya" !!

"Hoti hai kuch aur, Jatlaati hai kuch aur Duniya !
Dard ka Baazaar hai Duniya , Sang-Dil yaar hai Duniya" !!


Dard - E - Dil
Kcalpesh B Ajugia




Pyaar maanga hai toh, Pyaar hi dena,
Humdardi ke liye Dost kaeeen hai,
Izhar jab karu, toh ikraar dena,
Berukhi ke liye Dushman bhi kaeen hai,
Har roz Khuda se kaeen duaaen ki hai,
Har duaa mein tujhay maangne ki khataaen ki hai,
Kuchh lafz tujhay mil jaye, kuch khuda hummein de dein,
Kambakht, mere Dard 'e' Dil, ki bas dawa yahi hai!

No comments: