Khataa
Kcalpesh B Ajugia
Jo humay hai pasand,
woh kerte hai pasand kisi aur ko,
Un per hai hamari nazar,
woh dekhte hai kisi aur ko,
Dil lagaya hi thaa unse,
aur toot bhi gaya,
Humay pata na chala,
kyon khuda rooth hi gaya,
Ab soch soch ker yeh baat,
Dil jalta rehta hai,
Phir bhi unhi ko chahne ki khataa,
yeh dil kerta rehta hai!
Raasta
Kcalpesh B Ajugia
Lagta hai kabhi, ke paas aa rahay hain hum,
Aur ek pal mein sama badal sa jaata hai,
Kabhi baatein ho jaati hai kuchh aisi bhi,
Pal bhar mein armaan tak, badal sa jaata hai,
Taye karun kaisay, kya hoga anjaam'e'ishq,
Khayalon ko mere, nahi raasta nazar aata hai!
Khanjar chupa gaya koi
Devmukundaastha
If u like or dislike my writings plz in both form keep me inform from ur comments.
In search of ur good suggesstions
bheed main kuch log sugbuga rahe the,
jinda tha is shaks jiksi khahani sun-suna rahe the,
kuch purje liye mere armano ke koi aya waha,
qtal mera karke apni wafaon ki dhuhai de rahe the
meri laas main purjon ki aad main khanjar chupa rahe they
uthne ko tha janaja mera
woh hathon main apne rang-e-hina saja rahe they
khus they woh qtal maira karke
khanjar bhai mere phloo main chipa gaye
jharokhe se dekhkar mere janaje ko
tasalli apne armaon ko paa gaye
Tu mere muquaddar main nahi
Devmukundaastha
Kuch lbz dil ki dararon se nikalte hi ek dhara main behne lagte
hain unhi lubzon ki dhara ko shairy ya gazal kehtain hain.
dosto yadi aap ko achi lage ya buri mujhe mail kihiye
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,
har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,
ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine
Unka kehar
Devmukundaastha
tujse aaj juda hai to kya hua,
jinda hain kisi tarah is jamane main,
khyal tere hai har pal aate to kya hua,
jaane kaise arman sambhale hain tere chasm ke maikhane main,
har dhadkan tera aehsas hai, tu paas nahi to kya hua,
sun hai tu hai jehan judaii nahi us jahan main,
gar teri chahat jarrorat hai us jahan ki to kya hua,
kuda ko bhi koi nahi mila tere siwa is jahaan main,
tere bina chain nahi ek pal jee rahain hain to kya hua,
khuda ke paas mere liye ask bhi nahi uske mai khane main,
apni lass(dead body) khud dho raha hoon to kya hua,
ab bhi koi kasar baqi hai tere keher barpane main
Intjaar-e-nazar
Taniya 1
"bethye hain 'gaavon' mein pipal ki chhaaon mein !
Jaati hai dur talak 'nazar' aati hai tanhaai nazar !!"
"Pchhte hain to kehti hai apni tanhaai !
Kyon kisi per tune aas lagaai !!"
"Koi nahi hai apna yahan !
Parchhaain bhi kho gai hai jaane kahan !!"
"Rishte to jatlaate hain !
Nibhaa nahi paate hain !!"
"Bethye hain 'gaavon' mein !
Pipal ki chaaon mein !!"
Taniya musaafir
No comments:
Post a Comment