Khuda ke dar pe
Devmukundaastha
lagta hai hizra bant raha tha jab khuda ke ghar pe,
main hizra ki nahi bewafai ki qatar main tha,
jannat main main bhi kuch bewafa pehle se the dar pe,
isiliye main hiz-r-a-naseeb ruswai ki qtar (que or line) main tha,
shokh kaliyon ki ranginiyon bant rahi thi khuda ke dar pe,
majra dekh behak gaya shayad, isiliye shabe gam ki qataron main tha
mera naseeb ruthna shuru hua khuda ke dar pe,
meri shabegam ki shaehar kahan, main to shabe makroon-madioon (karj dil
ka) ki kataron main tha
Sukoon
Kcalpesh B Ajugia
Ayegi dil ki baat, zubaan per,
Yeh soch ke dil ghabrata hai,
Roz marha hi baatein bhi,
Kehne se dil katraata hai,
Gar baat woh keh dun tumse,
Toh dil se bojh hat jayega,
Roz marha ki baatein bhi,
Phir, sukoon se yeh dil ker payega!
Dil ki Hasrat
Kcalpesh B Ajugia
Asaan nahi yeh manzilein Ishq ki,
Thokarein khaaker bhi chalte rahein hain!
Tere har sitam ko seh-seh ker bhi,
Ummeed ke diye jalte rahein hain!
Tere har inkaar ko sabak samjhoonga!
Aur, teri is berukhi ko apni kismat!
Tujhay bas, ek nazar dekh ker bhi,
Puri ker loonga dil ki har hasrat!
Tera sitam
Devmukundaastha
mujh par sitam karte karte deed unke purnam ho gaye,
labon pe unke muskurahat thi, isi ada ke hum kaya l ho gaye,
badla hai jamii ne warna ye meri fitrat na thi,
hum to manind-e-gul the, sehkar sitam kaante ka aehsaad ho gaye
har jakm ko hara rakhenge, ki maikhane se door ho gaye,
teri har ek shabegam pa hazaroon sehar nyochawar ho gaye,
tera har sitam, har jakhm har gam meri dhadkan ho gaye,
aye jindagi kitne hi sitam dha le dee-daare aabsaar ask na hoga,
tera har ik sitam meri jindagi ka maqsad ho gaye
Unke Alphaaz
Ata ur rehman
Kyun ja rahe ho chhod kar Mughey ?
mughey chhod kar jane ki sazaa paaoge
mughey dill se bhulaney ki sazaa paogey
tanhaai mai jab tumne mera khat padha hoga
Khuda jaane kya haal huaa hoga ?
jab meri mohabbat ne dill tumhaara dukhaya hoga
khuda jaane un khoob soorat aankhou ka kya haal huaa hoga?
dostoun ne tumko jab majboor keyaa hoga
sharmaa kar tumney mera naam leya hoga
apni tanhaaeyoun mai mughey yaad na karna
naam mera lekhkar meta deyaa karna
hum aakar tere shahar se waapas chale jaayenge
yeh- phaisala karengey tere jaaney ke baad
Hum sajda karengey ---- loug kaaphir kahengey mughey
yeh sab kuchh sunenge hum tere jaane ke baad.
*unki qalam se chand or alphaaz*
Koii Din Aisa Nahi, Tera Khyaal Aata Na Ho !
Aankh Nam Hoti Na Ho,Or Dill Tadaphta Na Ho !!
Kismat...
Kcalpesh B Ajugia
Jab pehli baar aankhein chaar huvi thi,
Socha nahi tha, woh chand lamhon ki khushi thi,
Yaaaron, jinse yeh aankhein chaar huvi thi,
Woh kisi aur ki humsafar ban gayi thi,
Naa-ummeed na huve, na ghum mein rotay rahein,
Barso hum kisi ki talaash mein yuhin bhataktay rahein,
Ab phir kisi se yeh aankhein chaar huvi hai,
Ab is baar khuda se ek guzarish kee hai,
Jo ummeed is dil ne barson banaye rakkhi hai
Us ummeed ka tujhay hai waasta, Aye khuda,
Na kehna ke meri ksimat mein yeh bhi nahi hai!
Katal
Devmukundaastha
be gunahoon se hi gunahoon ka hisaab maanga jaata hai,
jo gunehgaar hua kartain hain unhe pyaar diya jaata hai,
kurbaani jung main hua karti hai,
mohabbat main ashkon ko apna bana liya jaata hai,
unki aashiqui ka chalan kuch ajeeb sa hai,
palkon ke taj pe bithakar gammon ke samunder main dubo diya jaata hai
*
patthar se nagme ki ummed kahan,
takrayega ser se jab dard ke alawaa kya dega,
mohabbat main chahat ki ummed kahan,
milega jab dilwar judai ke alawa kya hoga,
meri tanha raato main needon ki ummed kahan,
aankhon main ratjage dil main tere intezaar ke alawaa kya hoga
*
Masoomm ban gai wo mera qatal sare aam kerke
tokde mere dil ke wo legai mujhe badnaam kerke
mujhko khaber na thi qatil hai dost mera
aankhein na dekh saki dil ka faraib tera
shazish se teri dilber be maot mar gai
ayesi thi choat teri ke hum khood se bhi dar gai
dam nikla tha mera gaddaar tera naam kerke
teri nazer main surat kayi thi
meri mohbbat ne wo bagawat na dekhi
jab dhoka mila tab dair bhut hogayi
teri jafa main wafa meri kho gayi
mar gayi ye wafa tujhko salaam kerke
Kitne hoye dafan oud ke bewafayi ka kafan
Roohhe rahe gayi baqi mit gaya bas badan
mera qatl kerke mayiyat pe meri rona
aankho main nadamt ke aanso tera bhana
Aayi thi mohbbat ab mera anjaam kerke
Masoom ban gai wo mera qatal sare aam kerke
tokde mere dil ke wo legai mujhe badnaam kerke
Masoomm ban gai wo mera qatal sare aam kerke
tokde mere dil ke wo legai mujhe badnaam kerke
mujhko khaber na thi qatil hai dost mera
aankhein na dekh saki dil ka faraib tera
shazish se teri dilber be maot mar gai
ayesi thi choat teri ke hum khood se bhi dar gai
dam nikla tha mera gaddaar tera naam kerke
teri nazer main surat kayi thi
meri mohbbat ne wo bagawat na dekhi
jab dhoka mila tab dair bhut hogayi
teri jafa main wafa meri kho gayi
mar gayi ye wafa tujhko salaam kerke
Kitne hoye dafan oud ke bewafayi ka kafan
Roohhe rahe gayi baqi mit gaya bas badan
mera qatl kerke mayiyat pe meri rona
aankho main nadamt ke aanso tera bhana
Aayi thi mohbbat ab mera anjaam kerke
Masoom ban gai wo mera qatal sare aam kerke
tokde mere dil ke wo legai mujhe badnaam kerke
No comments:
Post a Comment