Di ka taquazaa
Devmukundaastha
maine to kisi ke askon ke badle muskurahaton ki chandni lutaee hai,
main hi us kasti ka swar tha jo sahil pe aake dagmagaee hai
*
aapke tasvboor main shab-e-gam gujar jaate hai,
ye sitam hai sehar ka woh mujhe aap se juda kar jaate hai,
gar kabhi gujro phir usi rah-e-mohabbat par,
jara najr-e-einayaat karna gour-e-garibaan par,
aaj bhi meri tooti se dhadhkan sunayee jaate hai
*
meri talash chod de main tujh ko paa chuka,
main soch ki hadoon se bahut door ja chuka,
sulook kya kiya is jahaan ne main duniya ko bata na saka,
tu apni suna ae dost main apni kahani suna chuka,
wada na yaad aaya unko had ke baad bhi,
tha jiska intezaar woh baharron ka mousam bhi ja chuka,
paani se naks kab hui roshan ye jindagi,
main apne ashkoun ke diye bhi jala chuka
Shaayad!
Kcalpesh B Ajugia
Unhein hai shikayat humse jo,
Humein hai woh shikayat, khud se hi,
Ki,
Hum baatein nahi ker patay hain!
Hai zubaan halakh mein,
Aur alfaaz zehen mein,
Hum, phir bhi chup ho jatay hain!
Auron se baatein ker lete hain,
Bas, unse kyon katratay hain?
Ek baat chuupanay ki koshish mein,
Hum saari baatein, chhupatay hain!
Dil ki baat kahin bol na dein,
Shayad,
Yeh soch ker hum ghabratein hain!
*High School Ki Yaaden*
Ata ur rehman
Dear Gudiya !
dill mai ram jaaney ke baad kyun tadpaa rahi ho
tum ho ke chali jaaogi kesi ki etani door jaaker
ek baar to dekh lena mughey qareeb aakar
*Keye they tumney jo waayedey ! Kya tumko wo yaad nahi
kaise kehtin thin jeyengey marengey saath saath hum tum
mughey chhod gaii ho akela gum sum
kehtiN thin Ata. khao qasam hum tum na hongey juda
chahey hum se khafa kyun na ho jaye khuda ?
Dekho ! aaj betha hoon tumhey paaney ke leye
tumto hans rahi ho mughey tadpaaney ke leye
ab to chalii aao man mera ghabraata hai
kabhi jab gham judaii ka mughey tadpaata hai
sach kehta hoon mughey rona bhi aa jata hai
kya woh tanha sii raat tumko yaad aati nahi
keye they tumney jo waayedey kya tumko yaad nahi
kya mughpar tumhen taras aata nahi
kya mera pyaar tumko tadpaata nahi
Dekho !aaj bhi betha hoon tumhey paaney ke leye
tumto hans rahi ho mughey tadpaaney ke leye
bas! tumharey bin ab jeyaa jaata nahi
tumhaari judaii ka pyaala piya jaata nahi
ab to chali aao man mera ghabraata hai
tumhaarey pyaar ka har lamha mughey rulaata hai
tum ho kar chali jaaogi kesi ki etni door jaakar
ek baar to dekh lena mughey qareeb aakar
Eltejaa tahey dill se! Ek Baar to Dekh Lena Qareeb Aakar...
Jawaab ka Muntazer aaj bhi
Zinda hoon
Kcalpesh B Ajugia
Zinda hoon main toh aaj bhi,
Main khud hamesha kyon kahoon?
Kabhi toh apne aap bhi,
Meri khairiyat poochha karo!
Meri har dua tere saath hai,
Ab fikr teri main kyon karu?
Tujhay fikr nahi toh na sahi,
Koi dua nahi, toh na sahi!
Zinda hoon main toh aaj bhi,
Kabhi meri khabar liya karo!
Koshish!
Kcalpesh B Ajugia
Achhay nahi ho keh ker, yun na mujhay thukrao!
Koshish ka ek mauka doh, phir mujhay aazmao!
Paa saka us manzil ko, tab mujhay apna lena tum!
Na paa saka apni manzil, toh beshaque thukra dena!
Na shikwa karunga koi, na koi shikaayat hogi!
Phir bhi kahin is dil mein, teri mohobbat hogi!
Kuchh paaker hi zindagi mein, tujhay panay ki ummeed rakhunga!
Na paa saka tujhay phir bhi, teri dosti ki kadar karunga!
Ek arsaa laga hai mujhko, is raah per chal panay ko!
Asaan nahi kadam hatana, mujhay chaltay hi janay do!
Arzu dil mein jo jagi thi, woh ummeed ban chuki hai!
Aitraaz na karo tum yaar mere, mujhay is koshish per mit janay do!
Bekarari
Devmukundaastha
tere deedar ke bina din-rat baichain hai,
zinda to hoon magar muskil main chain hai,
bekarari hai bahut kahi se koi teri sada aati,
hi dil ke paas tu, phir bhi bahut door hai
*
mere dil ki pukaar hai sun lijiye jara,
umar bekarar hai mil lijiye jara,
khani chhoti guft-a-g-u main kho na jaye,
are shib gour-e-deedaar kar lijiye jara
*
beet na saki main woh raat hoon,
mit na saka main woh jajbaat hoon,
aandhiya bhujha na sake jise main woh chiraag hoon,
kate na jo main woh rah hoon,
baujha sake jis pyass ko lakhon askon ke samunder,
bhadki hui main woh pyass hoon
*
aapka daman bhi hamse chutne laga,
sitaro ka noor bhi hamse ruthne laga,
is dard ki kasmakash me hum kabhi roe nahi ,
dard khud hume chukar rone laga...
No comments:
Post a Comment